Haey, Khuda ne jab malakul maut ko ye izn diya Ke roohe Hazrat-e-Sarwar nikaal kar le aa Rahay khayaal ke, Shabbir ko na ho eezaa Hussain (x3) Pehle hi zakhmo se chur chur hua Malak pukara ye, mujh say na ho sake ga khudaa
May kis tarha se nikaloon, badan se jaan-e-Hussain Bohat hi sakht hay ya Rab, ye imtehan-e-Hussain
1. Haey, Laga hai zakhm tabar, beh raha hai sar se lahoo Bhare hain khoon mein jaane Rasool ke gesu Qareeb jaake rakhoon dil pe kis tarah qaboo Ke is lahoo mein tho hai Fatema ke doodh ki bu May kis tarha se nikaloon, badan se jaan-e-Hussain Bohat hi sakht hay ya Rab, ye imtehan-e-Hussain
2. Haey, May phir in-aankhon pe dhaoon sitam ye kya hay zaroor Bichar ke jo Ali Akber se ho gayeen benoor Nida ye aayi dahan se nikaal jaane huzoor Kaha dahan mein tho kaante pade hain Rabbe ghafoor May kis tarha se nikaloon, badan se jaan-e-Hussain Bohat hi sakht hay ya Rab, ye imtehan-e-Hussain
3. Nida ye aayi ke gardan se khynchna in ki Kaha my kya kahoon garden pe chal rahi hai churi Churi pakadke ye chillati hay koi bibi Na zibha kar mere bacche ko mai duwa doongi May kis tarha se nikaloon, badan se jaan-e-Hussain Bohat hi sakht hay ya Rab, ye imtehan-e-Hussain
4. Haey, Nida ye aayi ke seene se qabz kar le jaan Kaha wo teeron se chalni hay aey mere Rehmaan Abhi tho maarke barchi hata tha ek shaitan Aur ab to hay tahe zaanuye Shimr ye quraan May kis tarha se nikaloon, badan se jaan-e-Hussain Bohat hi sakht hay ya Rab, ye imtehan-e-Hussain
5. Haey, Nida ye aayi ke mazloomiyet kay rutba shinas Qamr se khynchle kaabe ki jaan be waswaas Kaha malak ne tarap kar ba-dardo hasrato yaas Qamar tho toot gayi, jabse mar gaye Abbas May kis tarha se nikaloon, badan se jaan-e-Hussain Bohat hi sakht hay ya Rab, ye imtehan-e-Hussain
6. Falak se tab hua roohul amee ka ran mein nuzool Kaha pukar ke muh dhamp lo baraye Batool Pisar ke laash pe kholegi baal binte Rasool Sada ye thi malakul mauth ki ba huzn malool May kis tarha se nikaloon, badan se jaan-e-Hussain Bohat hi sakht hay ya Rab, ye imtehan-e-Hussain
7. Haey, Isay ye hukm hu par- fikr –ye hay ay yazdaan Har ek juzv hay zakhmi lagaaoon haath kahan Khuda pukara ye mushkil karenge hum aasaan Na tu nikaal mere aashiqe ghareeb ki jaan May khud nikal raha hoon badan se jaan-e-Hussain Ke khatm honay ko ab hay yeh imtehan-e-Hussain
|