Sakhi Abbas Jari Ya Elaahi mujhe de (x2) Ek jari chaahiye taarikhe shujaat ke liye Karbala mein meray Shabbir ki nusrat ke liye Aur namoose payambar ki hifaazat ke liye (x2) Ya Elaahi mujhe Abbas sa beta dede Jab meray ghar mein alam hay to alamdaar bhi ho (x3)
1. Shukr sad shukr tera Shabbar-o-Shabbir diye Betiyaan ki hain ata Zainab-o-Kulsoom mujhe Baad iske meri bas ek dua ke badle (x2) Ya Elaahi mujhe Abbas-sa beta dede Jab meray ghar mein alam hay to alamdaar bhi ho (x3)
2. Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera (x2) Ya Elaahi mujhe abbas sa beta dede Jab meray ghar mein alam hay to alamdaar bhi ho (x3)
3. Koi be-yaar-o-madadgaar agar hojaye Iltaja behre madad apni zabaan par laye Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye (x2) Ya Elaahi mujhe abbas sa beta dede Jab meray ghar mein alam hay to alamdaar bhi ho (x3)
4. Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me (x2) Ya Elaahi mujhe abbas sa beta dede Jab meray ghar mein alam hay to alamdaar bhi ho (x3)
5. Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho Koi umeed na toote koi be aas na ho Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho (x2) Ya Elaahi mujhe abbas sa beta dede Jab meray ghar mein alam hay to alamdaar bhi ho (x3)
6. meray maalik meray hoontoon pe jab aayi ye dua Meri aankhon mein nazar aane lagi Karbobala Mera Shabbir musibat mein khadaa hay tanhaa (x2) Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede Jab meray ghar mein alam hay to alamdaar bhi ho (x3)
8. Jab woh karbal mein ho chawbhees peher ka pyaasa Har qadam par use isaar ka jazba dena Aur meray laal ke haathonko salaamat rakhna (x2) Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede Jab meray ghar mein alam hay to alamdaar bhi ho (x3)
8. Ay KALEEM hogayi maqbool duaa-e-Haidar Usko MEESUM kaha hai Fatema Zehra ne pisar Arzu ki thi Ali ne jo huzur-e-daawar (x2) Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede Jab meray ghar mein alam hay to alamdaar bhi ho (x3) |