Rehayee qaid say Zainab(s.a.) ko jab mile ho gi Bina Hussain(a.s.) kay woh kaisay ghar gaye hoo gaye
Aye Nana Tayray Nawasay ko tayri ummat nay Daffan kiya hai na uryian hi ban mein chor diya
Hussain(a.s.) Ya Hussain(a.s.), Hussain(a.s.) Badshah, Hussain(a.s.) shahenshah Hussain(a.s.) deen hai, Hussain(a.s.) dein pannah, Shaheed-e-karbala, Zabihay nainwa, Bay zuram-o-bay khata, Hay tayra ghar luta Hussain(a.s.) Ya Hussain(a.s.) Ya Hussain(a.s.) Ya Hussain(a.s.)
Daffan kiya hai na uryian hi ban mein chor diya Batoolzadi(s.a.) yehi baat sochti hoo gi
Lutien thi dasht mein jo chadarien Saydaniyoon(s.a.) ki lotayein Abid-e-Beemar(a.s.) ko layeenoon nay
Sajjad(a.s.) haaye Sajjad(a.s.) Beemar-e-karbala, Aseer-e-baykhata tumhara qafla, jo tha luta howa pahan kay bayriyaan, jidhar bhi tu gaya woh raasta jo tha laho laho howa na jaanay kis tarhaan, yeh tu nay seh liya woh Zainab(s.a.)-e-hazeen, ka sar khula howa phir is kay baad tu, hai jab talak jiya tumhari aankh say, sada hai khoon baha Sajjad(a.s.) haaye Sajjad(a.s.) haaye Sajjad(a.s.) haaye Sajjad(a.s.)!
lotayein Abid-e-Beemar(a.s.) ko layeenoon nay Ali(a.s.) ki Laadli hasrat say daykhti ho gi
Woh chay(6) maah kay bachay ko teer maara tha Woh Sheer khawar ka laasha sina pay aaya tha
Sagheer(a.s.) Haaye Sagheer(a.s.) Sagheer(a.s.)-e-Karbala, Aye Kushta-e-jaffa kisi ki dushmani, hai tum say kiya bhala tumhara sin abhi, nahin hai jang ka qaza ka teer hai, badast-e-hurmala tumhara phool say, bhi narm hay gala Rubab(s.a.) kis tarhaan, karay gi hosla Khudara hosla, na maa ka aazma Hussain(a.s.) per yehi, to waqt hai karra laho Sagheer(a.s.) ka, moh pe mal liya Sagheer(a.s.) Haaye Sagheer(a.s.) Haaye Sagheer(a.s.) Haaye Sagheer(a.s.)!
Woh Sheer khawar ka laasha seenay pay laaya tha Batool(s.a.) lahad mein moh apna peet-ti ho gi
Parray thay Laashay jawaanoon kay dasht-e-Karbal mein parra tha Ghazi(a.s.) ka laasha bagheer shanoon kay
Abbas(a.s.) Haaye Abbas(a.s.) Abbas(a.s.) bawafa, Abbas(a.s.) basafa hay tu pala howa, Ali(a.s.) ki goud ka Abbas(a.s.) Moajazza, hai tu Batool(s.a.) ka Abbas(a.s.) ek naya, hai pesh marhala Hai Zainab(s.a.) bayrida, safar hai Sham ka Hain Shami bay haya, Wa Museebata! Abbas(a.s.) Haaye Abbas(a.s.) Haaye Abbas(a.s.) Haaye Abbas(a.s.)!
parra tha Ghazi(a.s.) ka Laasha bagheer shanoon kay(sadqay) Jawan bhai kay shanoon ko dhondhti ho gi(sadqay Shahzadi)
Gaya tha qafla maqtal mein Aale-Ahmed(a.s.) ka Dhoonda hai dasht mein har Bibi(s.a.) nay apnay pyaroon ko
Jawan haaye jawaan, Shabih-e-Mustafa(saw), Wazir-e-Murtaza(a.s.) Athara(18) saal tek, tu burqay mein palla Phophi nay naaaz say, tujhay jawaan kiya Khuda(swt) kay waastay, Abhi na ran mein ja Hussain(a.s.) kis tarhaan, yeh daykh paayay ga Jawaan ka jigar, sina ka totna Hai tayra rasta Jawan haaye jawaan haaye jawaan haaye jawaan!
Dhoonda hai dasht mein har Bibi(s.a.) nay apnay pyaroon ko Karakti Dhoop mein ro ro kay dhondti ho gi
Gaye thi sath tumharay Sakina(s.a.) Karbal mein Kahan hai bhayyia mujhay nazar nahin aati
Hussain(a.s.) Ya Hussain(a.s.), Hussain(a.s.) Badshah Hussain(a.s.) Shahenshah, Hussain(a.s.) Baywatan Hussain(a.s.) Baykafan, jo sar ser-e-sinah to reet peh badan, luta hai dast mein Batool(s.a.) ka chaman Beemar Sughra yeh Abid(a.s.) say poochti ho gi
Sunni jo bali Sakina(s.a.) nay khabar yeh Akhtar keh sab chalay hain mujhay chor ker Madinay ko Masooma(s.a.) kabr mein tanha hi ro rahi ho gi |