Ghar say janay lagay shabbir to sughra nay kaha Lay chalo mujhko b bimar tumhain day gi dua Ho jana khafa rah main jo roye gi sughra Yan neend kab ati hay jo wahan soye sughra Baba, baba Tanhayee saza hay mujhay aisi na saza do Main ye nahi kehti k amari main bitha do Baba, baba Baba mujhay fizza ki sawari main bitha do 1. Sab baithain sawari pay main pedal hi chalon gi Wada hay kisi ko koi takleef na dongi Baba, baba Amman say main hargiz na kahon gi k dawa do 2. Palkon say main saya ali asghar pay karongi Amman ki sawari say boht door rahon gi Baba, baba Han keh k meri zeest k kuch roz barha do 3. Main pani pilaongi sawari ko tumhari Behlaon gi rastay main sakina ko tumhari Baba, baba Jo kaam kanizon k hain sab mujh ko batado 4. Sab nazrain churatay hain koi dum nahi bharta Such hay koi murday say mohabbat nahi karta Baba, baba Toqeer meri ye hay to marnay ki dua do 5. Kiya guzray gi jab ghar say chalay jain gay akbar Kaisay mujhay har baat main yad aingay akbar Baba, baba Kab aingay lenay mujhay bhayya ye batado 6. Han apni mohabbat ka main izhar to karlon Thehro ali asghar ko zara piyar to karlon Baba, baba Naaqay say jhalak nannay musafir ki dikhado 7. Rehan wo bimar ye thak haar k boli Aey sarwar e zeeshan tamanna hay ye meri Baba, baba Jatay hay to turbat meri tum khud hi banado Main ye nahi kehti k amari main bitha do Baba mujhay Fizza ki sawari main bitha do |