Ya Abbas ya Abbas !!
Jab hawaon may nami mehsoos ki abbas ne, Ehtiyatan saans rok li abbas ne Mauj-e-kausar sar uthakar dekhti hi reh gayi, Itni unchayi par rakh di tashnagi abbas ne
1. Saja rakhi thi darya par ajab baarat pani ki, Bahut karte thay ashrare yazidi baat pani ki Magar darya pe pahunchay thokare maari chale aaye, Bata di hazrat-e-abbas ne aukhaad pani ki Kate baazu chidi mashkeeza bachi reh gayi pyaasi, Zameen pe khoon bankar hogayi barsaat pani ki Ya Abbas, Ya abbas
2. Jahan bhi pani-o-mask-o-alam ki baat chali, Ali ke laal ke qadmo tale faraad chali Wafa-e-ishq-o-mohabbat ki kaayanat chali, Dua-e-fatima zehra bhi saat saat chali Alam ke dam se hai ab tak hayaat pani ki, Jari ki jeet hui aur maath pani ki Ya Abbas, Ya Abbas
3. Wo ek mashk jo kausar samayt kar nikli, Labon pe apne samandar samayt kar nikli Tabassum-e-ali asghar samayt kar nikli, Jo ek zarb se laskhar samayt kar nikli Agar na kehti ye aab-e-hayaat pani ki, Har ek nigaah se gir jaati zaat pani ki Ya Abbas, Ya Abbas
4. Sakina bibi ke sadkhe ali ke laal salaam, Jari shaki asad-e-sher-e-zuljalaal salaam Wafa ki aakhri hadke mahay kamaal salaam, Nahi hai dono jahaan may teri misaal salaam Tere kate hue baazu nijaat pani ki, Tere badan ka pasina zakaat pani ki Ya Abbas, Ya Abbas
5. Himaayat-e-shah-e-mazloom may panaah abbas, Sabaat-o-jurrat-o-ghairat ki inteha abbas Janaab-e-zainab-e-bekas ka aasra abbas, Lab-e-faraath fakadh tune ye likha abbas Hamari tashnalabi hai faraath pani ki, Hayaat pyason ki thairi wafaath pani ki Ya Abbas, Ya Abbas
6. Meri hayat ka samaan nasir-e-shabbir, Badalta rehta hai jo kaayanat ki taqdeer Faraath-o-mashq-o-alam jiski hashr tak jaageer, Mai aur ye meri tanzeem iske dar ke fakheer Bahegi chasm-e-aza se faraath pani ki, Chalegi majlis-o-matam may baat pani ki Ya Abbas, Ya Abbas
|