Bazaar e sham darbaar e sham Hae hae zainab hai hai sham Bazaar saja hai aur Zainab be chadar 1. Rahoon main loog sharabi aur bint e ali faryaadi Aik chadar mang rahi hai ummat say syed zadi Aur loog tamashai aaye hain ban kar 2. Her soo na paak nigaheen aur aal e nabi ki aahain Sang bari karnai aae sab loog saja ker raheen Is ghum say harum hai seena zan nauha gar 3. Yeh kaesi qaiyamat aaee taqdeer kahan per laai Her zakhm saha hai dil per her chooT jigar par khaaei Yeh shooq ki galiyaan kehti hain roo roo kar 4. Abbas ki khuaaher zainab hai bint e haider zainab Baloon sae chuppa ker chehra phirti hai dar dar zainab Hai kaesa qaiyamat ka logoon yeh manzar 5. Jis ghar say parda dari ki rasm hui thi jaari Be parda daikhnae unko aae hai dunya sari Zainb kae kalaejae par chaltae hain khanjar 6. Yeh zulm bhi kaesa dhaiya bazaar e sham sajaya Hathoon sae ishara kar kae bibi ka naam bataya Girta tha wahan bhi imam mera ghash kha ker 7. Haan boojh thae dil pae bhari thae eshK lahoo kae jaari Soochae tatheer ki waris kaesay ho parda dari Tae karna hai ab bin chadar aur safar 8. Zainab ka dard uthana do zakhm jigar par khana Bhai kae halq pae khanjar aur shaam say ho kar jaana Haye bhool na pae gi zainab yeh manzar 9. Safdar o haashim daikho qirtas o qalam rota hai Yeh ajrae risalat daikho ummat say jo paya hai Zehra ki baeti rooti hai nangae sar |