Sakina ki Sada Hai Aray O Sham Walo, Aray O Kufay Walo Kafan Baba ko day do (x2) Aray O Sham Walo, Aray O Kufay Walo
1. Mayray Pyaray jo Ammo aaj hotay Kabhi na is qadar majboor hotay Gaddaye ker kay latay, magar tum say na kehtay Aray O Sham Walo, Aray O Kufay Walo Kafan Baba ko de do
2. Chacha ka Ser yeh nayzay say hatta do Sar-e-Shabbir pay perda urrha do Yeh gham kitna barra hai Mayri Maa Bay-Rida Hai Aray O Sham Walo, Aray O Kufay Walo Kafan Baba ko de do
3. Mein Khatoon-e-Jinnah ka aaina Hoon Rasn basta, aseer-o-bay-khata Hoon Mayri jaanib na daykho Mayra kurta phatta hai Aray O Sham Walo, Aray O Kufay Walo Kafan Baba ko de do
4. Woh seena Mayray Baba ka kahan Hai Suna hai bar-ser-e-raigh-e-tappan hai Nahi Haaye Woh Seena Kahan soye Sakina Aray O Sham Walo, Aray O Kufay Walo Kafan Baba ko de do
5. Mayray ghar ki kaneezein ba-rida hain Qayamat ho gaye Hum Bay-Rida Hain Sitam kitna barra hai Phophi ka Ser khula hai Aray O Sham Walo, Aray O Kufay Walo Kafan Baba ko de do
6. Yateemoon ko sattana kab rawa hai Dukhay dil ko dukhana kab rawa hai Sitam jo chahay kar Lo Maghar ek kaam kar do Aray O Sham Walo, Aray O Kufay Walo Kafan Baba ko de do
7. Rehaaye ki tamanna mer chuki hai Yeh Zindaan Mayri Manzil akhari hai Maghar Baba say kehna Ab aana Sham aana Aray O Sham Walo, Aray O Kufay Walo Kafan Baba ko de do
8. Karo Rehan-o-Sarwer aah-o-zaari Sakina nay woh shab kaisay guzari Tha Ser goudi Mein Sheh ka Laboon per tha yeh noha Aray O Sham Walo, Aray O Kufay Walo Kafan Baba ko de do
|