Kartey hain sab zindan mein fughan Wawaila
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Wawaila sad Wawaila, Wawaila

1. Kartey hain sab zindaan mein fughan Wawaila 
  Uth gayi duniya se nadaan Wawaila
  Hai Sakina hai Sakina (x2)
  kahti hai sir ko peet ke Maa Wawaila
  Wawaila sad Wawaila, Wawaila

2. Kurta hai ab tak khoon se laal Wawaila 
  Soojhey hue hain ab tak gaal Wawaila
  Hai ghazab ab tak bhi galey per (x2)
  Bachchi ke hain rassi ke nishaan Wawaila
  Wawaila sad Wawaila, Wawaila

3. Beech mein hai Laash-e-Maasoom Wawaila 
  Gird machi hai roney ki dhoom Wawaila
  Chaar baras wali ke liye sab (x2)
  Ahle Haram hain seena zanaan Wawaila
  Wawaila sad Wawaila, Wawaila

4. Chaar baras ka sin tha abhi Wawaila 
  Qaid hui duniya se uthi Wawaila
  Sehti kahan tak ranj-o-musibat (x2)
  Chotey se sin mein nanhi si jaan Wawaila
  Wawaila sad Wawaila, Wawaila

5. Haath hai ab tak kaanoun per Wawaila 
  Khoon jama hai shaanoun per Wawaila
  Seh gayi kya kya zulm-o-sitam (x2) 
  Is umr mein zaalim ke nadaan Wawaila
  Wawaila sad Wawaila, Wawaila