Qatl hue Abbas e Ali Wawaila
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Wawaila sad Wawaila, Wawaila

Qatl hue Abbas-e-Ali Wawaila
Tegh-e-sitam shaanoun pa chali Wawaila
Mashk chidi sab beh gaya pani (x2)
pyasi rahi godoun ki pali Wawaila
Wawaila sad Wawaila, Wawaila

Gurz-e-sitam sir per khaya Wawaila
Bhai ko Shah ke ghash aaya Wawaila
Pusht-e-faras per thum na saka (x2)
Teora ke gira Farzand-e-Ali Wawaila
Wawaila sad Wawaila, Wawaila

Aryaan ragri reti per Wawaila
Aaey qareen sab baani-e-shar Wawaila
Di yeh sada Zahra ke Pisar ko (x2)
Ya Shah-e-Wala jaan chali Wawaila
Wawaila sad Wawaila, Wawaila

Aai jo Sarwar tak yeh sada Wawaila
Daurey qamar thaamey Moula Wawaila
Kahte thay tooti Meri kamar ab (x2)
Bhai bala teri na tali Wawaila
Wawaila sad Wawaila, Wawaila

Rotey hue Shah jaatey thay Wawaila
Humshakl-e-Nabi samjhatey thay Wawaila
Jhuk gaye thay Farzand-e-Payambar (x2)
Khaak thi sab chehre pa mali Wawaila
Wawaila sad Wawaila, Wawaila