Aey Khuda ! Aey Khuda ! Aey Khuda !
Aey Khuda Aey Khuda Hay Yehi Aarzoo Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo
Misle Maisam jala kay chiragh-e-wafa Bhardoon apnay lahoo sey ayad-e-wafa*
Qafila Zuriyat ka Na bhatkay kabhi Misle Hurr choor jaoon chiragh-e-wafa
Aey Khuda Aey Khuda Hay Yehi Aarzoo Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo
Mairay Aqa Ki Janib jo uthee nazar Cheen loonga un ankhoon sey noor-e-basar Kaat doonga uss aadmi ki zabaan barh gaya koi had-e-adab sey agar
Aey Khuda Aey Khuda Hay Yehi Aarzoo Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo
Kash jab mein hoon masroof-e-Kaar-e-Ghira* Maujiza aisa dikhlaye maira Khuda Dekh kar mujhko alooda-e-Khaak-o-khoon Khud Imam-e-Zamaan(as) Keh uthein Marhaba
Aey Khuda Aey Khuda Hay Yehi Aarzoo Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo
Jab Alam lay kay maqtal ki janib barhoon Yeh rujuz shaan-e-Mola Ali mein parhoon* Ghum Nahi hay kay haq goi kay jurm mein Qatl karday zamana kay phaasi charhoon
Aey Khuda Aey Khuda Hay Yehi Aarzoo Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo
Ta ba Anjaam-e-Ghaybat jo mein na rahoon Ayy Khuda Haq-e-Nusrat ada Yu Karoon Jab Imam apnay lashkar ko tarteeb dein Mein bhi Turbat sey labaik kehta uthoon
Daagh Hay Dil Pay Zahra ki Jageer ka Ghum Hay Aale Muhammad ki Tash-heer ka Kam sey Kam itni Mohlat Khuda Bakhsh Dey Badla Mein Lay Sakoon Khoon-e-Shabbir Ka
Aey Khuda Aey Khuda Hay Yehi Aarzoo Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo[/QUOTE]
Karbala Mein ajab zulm dhaye gaye Loota Hay sheh ko khaimay jalaye gaye Mujrimo ki tarhaa dar ba dar nangay sir AhleBayt-e-Muhammad Phirayee gayee
Aey Khuda Aey Khuda Hay Yehi Aarzoo Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo
Ashqiya zulm per zulm dhatay rahay Bay sabab taziyaanay lagatay rahay Khoon rotay rahay Ahlebayt-e-Nabi Log Jashn-e-Musarrat manatay rahay
Aey Khuda Aey Khuda Hay Yehi Aarzoo Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo
Baandh kar aik rassi mein bara galay Soo-e-darbar-e-shaam ashqiya lay chalay Koi aisa na tha jo yeh poochta Khatm Kab hoongay yeh zulm kay silsilay
Aey Khuda Aey Khuda Hay Yehi Aarzoo Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo
Karbala dey rahee hay musalsal sada Muntazir janay kab sey hain ahle wila* Jald hoo abb zahoor-e-Imam-e-Zamaan Aey Khuda Aey Khuda Hay Yehi Aarzoo
Aey Khuda Aey Khuda Hay Yehi Aarzoo Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo
|