Luti kin fazaon me aaley payamber
Efforts: Rabia Rashid

Luti kin fazaon me aaley payamber, na mai kehsakungi na tum sun sakogey
Huwa kaisey khaali ali ka bhara ghar, na mai kehsakungi na tum sun sakogey

Lagi dilpe barchi, jigar mu ko aya, sada aayi maqtal se baba kaha ho
Chaley kiska lasha uthaney ko sarwar, na mai kehsakungi na tum sun sakogey

Wo khoon khaar sehra wo wehshi hawaein, wo sunsaan jangal wo maa ki sadaein
Kahan sogaye jakey jooley se asghar, na mai kehsakungi na tum sun sakogey

Barha shimr khanjar liye kiski janib, pukara tha maqtal se kisne ali ko
Nazar aya sar kiska nok e sina par, na mai kehsakungi na tum sun sakogey

Kahu umm e laila ka mai haal kaisey, bayaan kya ho kulsoom ki bekasi ka
Utaari gayi kaisey zainab ki chadar, na mai kehsakungi na tum sun sakogey

Waqaar aah kis dilse ab mai bataun, jo guzri hai zainab ke qalb e hazeen par
Wo bazaar o darbar kufey ka manzar, na mai kehsakungi na tum sun sakogey