Shaam aa rahi hai dil paar hazaro, sadme uthaye beti Ali ki. Haste hai saare baazar waale (x2) roti hai haaye beti Ali ki.
1) Tha jis ka bhayi Abbas-e-Ghazi, hai aaj qaidi wo shahazadi (x2) Ye shor sun kar ghairat ke maare (x2) kahi mar na jaaye beti Ali ki.
2) Chaaro taraf hai mahaul aisa, jaise laga ho koyi tamasha (x2) Abbas aaja chadar urha jaa (x2) ghabraa na jaaye beti Ali ki.
3) Barsaa rahe hai pathar sitamgar, lagte hai pathar Bibi ke sar per (x2) Bazoo bandhe hai bebas hai khud ko (x2) kaise bachaaye beti Ali ki.
4) Zulfe pakar kar Shimr-e layeen ne, maare tamaache tarpi Sakina (x2) Zainab ke dono bazoo bandhe hai (x2) kaise churaaye beti Ali ki.
5) Wada kiya tha usne khuda se, roshan karegi tera naam chahey (x2) Bazaar jaye darbaar jaye (x2) zindan jaye beti ali ki
6) Sajdey bachaye kaaba bachaye, quran bachaye deen ko bachaye (x2) Farsh e aza par ashk e aza ko (x2) Gohar banaye beti Ali ki
7) Jana hai usko darbar e shami, chaaro taraf hai majma sharabi (x2) Zainab ke sar par chadar nahi hai (x2) kis tarha jaye beti ali ki
8) Jo ke pali thi tukro pe unke, azaad hai wo adnaa kanizein (x2) Kaisi qayamat aayi hai Ya Rab (x2) qaidi hai haaye beti ali ki
|