Ghar Fatima zehra ka ajab shan ka ghar hai Ye wahi ki manzil hai ye quran ka ghar hai Islam ke mahol may eman ka ghar hai Momin ki munafiq ki ye pehchan ka ghar hai
Kuch log marejate hai is ranjo mehan mein Is ghar ka jo darwaza hai masjid ke sehan mein
Allah ne is ghar ko nabuwat se nawaza Dunya may ise deeno shariyat se nawaza Ismat se imamat se wilayat se nawaza Har fard ko quran ki aayat se nawaza
Saanche may mashiyat ke ye afraad dhale hain Sab chadare tatheer ke saaye may pale hain
Ye azm ke faulaad isi ghar may milenge Ye noor ke ajsaad isi ghar ay milenge Jibreel ke ustaad isi ghar may milenge Is satha ke afraad isi ghar may milenge
Maqlooq ki baat aakhri sarhad nazar aaya Jis fard ko dekha wo mohamed nazar aaya
Ashaab mukarram hani magar apni jagha par Ghair apni jagah laqte jigar apni jagha par Khaar apni jagah ghunchaye tar apni jagha par Sang apni jagah laal-o-gohar apni jagha par
Pehlu may jo baitha ho usay dil nahi kehte Rehro kabhi rehbar e manzil nahi kehte
Allah re izzo sharafe Bint e Risalat Qandeel e haram sham e shabistane imamat Rehmat jo Mohammed hain to ye para e rehmat Woh kull e nabuwat hai to ye juzv e nabuwat
Aasaan kaho maarifat e khatm e rasul ko Jo juzv ko na samjha ho wo kya samjhega kul ko
Mumkin nahi ummat ka qiyas aal-e-nabi par Yeh log alag loog hain yeh ghar hay alag ghar Is ghar kay to bacchay bhee badal datay hain aksar Insan ki taqdeer farishtoon ka muqqadar
Rahib ko kaee lall isi ghar say milay hain Fitrus ko par o bal isi ghar say milay hain
|