Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai
Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai Nahi woh chand jo dil ka mere ujala hai Merey jawan ko, naizon se maar daala hai Kaleyja cheer ke barchhi ka phal nikala hai Ghazab hai laash ko ghoron se rond daala hai
Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai
Batao logon usey dhoondney kahan jaoon Main apney Akbar e mah roo ko kis tarha paoon Miley to apney kalejey se usko liptaoon Woh mer gaya hai yeh kis tarha dil ko samjhaoon Arey kahan mera atthara saal wala hai
Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai
Khuda ke waastey ab ran se ao ae Akbar Laeen satatey hain aa ker bachao ae Akbar Khuley seron pey ridayein urhao ae Akbar Phupi ke haal pe ab rehem khao ae Akbar Tarap ke kehti theen kin kin dukhon se paala hai
Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai
Batao sabr karey kis tarha dil e madar Shabeeh e Ahmed e Mukhtaar they tum ae Akbar Tumharey ghum mein merey dil pe chaltey hain khanjar Tumharey baad jahan se gaye Ali Asghar Malaal doona hai, dil ko qalaq dobaala hai
Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai |