Ro ke soyee hay Sakina ko jagaey na koi
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi



Neend zindaan may Sakina ko jo aayi ho gi
Lori madar ne ye ro ro ke sunai ho gi

Ro ke soyee hay Sakina ko jagaey na koi
Yaad masooma ko baba ki dilaye na koi

1) Yeh thaki hari safar ki hay jagee ratoon ki
Sab parindon ko be keh do (x2) chehchahaye na koi
Ro ke soyee hay Sakina ko jagaey na koi

2) Naam yeh Shimr ka sunti hay to dar jati hay
Baat maqtal ki Sakina ko sunaye na koi
Ro ke soyee hay Sakina ko jagaey na koi

3) Aaj darogha-e-zindaan bhi dar na kholay
Aur Sajjad ke zanjeer hilaey na koi
Ro ke soyee hay Sakina ko jagaey na koi

4) Jaisay Abid ne uthaya hay behan ka lasha
Lash pardes may behnoon ki uthaey na koi
Ro ke soyee hay Sakina ko jagaey na koi

5) Qaidyon may sab se kamsin thay janab-e-Baqir
Wah ri ghurbat is tarha qaid nibhaey na koi
Ro ke soyee hay Sakina ko jagaey na koi

6) Jaisay Asghar ko hay chor aayi Sakina Akhtar
Bay kafan bhai ko yun chor ke aaey na koi
Ro ke soyee hay Sakina ko jagaey na koi