Shabbar ke janaazay ko musalmano nay wapas lauta diya hay Aey kaash souch letay Zehra ka yeh piyara hay, jo bint-e-Mustafa hay 1) Taboot lautaana tha, phir teer na chalatey Baqiya may Fatima ko itna to na satatay Haider ki betiyon ko, socho to zara logo Kis baat ka silaa hay 2) Aisi misal koi milti nahi dahar may Ghar se utha janaza phir laut aaya ghar may Kis bebasi se wapas aaya tha janaza yeh Tarikh bhi gawah hay 3) Niklay Hasan ke tukre Farwa jo dekhe bikhre Haey naseeb meray, kehne lagi tarap ke Kis ki nazar lagi hai Zehra ke bhare ghar ko Ummat ne kya kiya hay 4) Kehti thi roke Farwa humse naa door jao Qasim abhi hai kamsin maula hamay bachao Dushman hui khudai bin aap ke duniya may Aab kaun aasra hay 5) Bazaro may mayyat pe paikan baras rahay thay Taboot ko uthae Abbas ro rahay thay Mehsos ho raha tha aulad-e-Muhammad pe Aaghaze karbala hay 6) Taboot tuta tuta aur kafn bhi chida tha Mayyat ke har zakhm se haey khoon beh raha tha Kis haal may utha haey duniya may janaaza yeh Naa uthe ga na utha hay
|