Haey qayamat ka hay samaa (x3) Chanay lagi sham-e-gharibaan
Khaima-e-Sadat se uth duwan Haey qayamat ka hay samaa
1) Dhal gaya din khatm larayi hui, moat ki khamoshi hay chayi hui Chak gareban khudai hui, khak basar Fatima jayi hui Larzi zameen kanp uth aasman, haey qayamat ka hay samaa Chanay lagi sham-e-gharibaan, haey qayamat ka hay samaa
2) Noor-e-nazar raj dularay gaye, Zainab-e-dilgeer ke pyaray gaye Shah kay ansar bhi maray gayey, Aaj hi woh dilbar saray gaye Dhoond liya moat nay yeh karwan, haey qayamat ka hay samaa Chanay lagi sham-e-gharibaan, haey qayamat ka hay samaa
3) Khoon may hay tar sher-e-jari ka alam, ho gaya Shabbir ka sar bhi qalam Khushyan mananay lagi foaj-e-sitam, gham ka tabah haal hay haal-e-haram Lut gayeen konain ki shehzadian, haey qayamat ka hay samaa Chanay lagi sham-e-gharibaan, haey qayamat ka hay samaa
4) Aun-o-Mohammad nahi Akbar nahi, Sarwar-o-Abbas-e-Dilawar nahi Haey koi moonis-o-yawar nahi, khaimay may to maqna-o-chadar nahi Dasht may aal-e-nabhi hay be amaan, haey qayamat ka hay samaa Chanay lagi sham-e-gharibaan, haey qayamat ka hay samaa
5) Madar-e-Akbar ka ajab haal hay, deta hay jab koi tassali usay Kehti hay dil tham ke aatay huay, kho gaye is ban may saharay meray Mar gaya haey mera karyal jawan, haey qayamat ka hay samaa
6) Maan hun har ik dard uthaoon gi may, rotay huay khud chali jaoon gi may Dhond kay besheer ko laoon gi may, uskay bina jee nahi paoon gi may Reh gaya haey mera bacha kahan, haey qayamat ka hay samaa Chanay lagi sham-e-gharibaan, haey qayamat ka hay samaa
7) Haey yeh be chargi yeh bay kasi, deta nahi usko dilasa koi Darmiyan lashon kay akailay khari, kehti hay bachchi koi sehmi hui Dhoondnay jaoon tumhain baba kahan, haey qayamat ka hay samaa Chanay lagi sham-e-gharibaan, haey qayamat ka hay samaa
|