Aey dilbarane Jafar-e-Tayyar Alwida, Alwida
1) Binte Ali ye bachon se kehti thi baar baar Ran ko sidharo Auno Mohammad ye maa nisar Aey dilbarane Jafar-e-Tayyar, Alwida Alwida
2) Jafar ka iftekhar barhana jihad may Nana ki apni shan dikhana jihad may Aey dilbarane Jafar-e-Tayyar, Alwida Alwida
3) Shere khuda ki beti ke tum dono sher ho Maidan may jao jalud fatha ab kuch na dayr ho Aey dilbarane Jafar-e-Tayyar, Alwida Alwida
4) Har baat apne dil ke siwa ho to baat hay Wo ran pare ke hashr bapa ho to baat hay Aey dilbarane Jafar-e-Tayyar, Alwida Alwida
5) Ghayre rahe sipah magar moo na modna Haider ki yaadgar ho maidan na chorna Aey dilbarane Jafar-e-Tayyar, Alwida Alwida
6) Shimro umar ke sar jo utaro to khush hoon may dushman ko jhoom jhoom ke maaro to khush hoon may Aey dilbarane Jafar-e-Tayyar, Alwida Alwida
7) Ab to ye aarzoo hay ke tum ran may kaam aao Chehre ke badle khoon bhare chehre mujhe dikhao Aey dilbarane Jafar-e-Tayyar, Alwida Alwida
8) Bacho zaeef mamu ko zehmat na deejiyo Laashe uthaaye bhai to jumbish na kijiyo Aey dilbarane Jafar-e-Tayyar, Alwida Alwida
9) Pyase jo aaoge to sila degi tum ko maa Khud daur kar gale se laga legi maa Aey dilbarane Jafar-e-Tayyar, Alwida Alwida |