Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
کربلا والوں پہ جو گذری وہ قیامت اور ہے ہر پیمبر پر جو آئی وہ مصیبت اور ہے عصر تک جو جانے کیا ہو پیاس کی شدت کا حال صبح سے عاشور کے سورج کی حدت اور ہے کربلا والوں کٹ کے سر دارالاعمارہ پر ہے شہہ کا منتظر کوفیوں مسلم کا انداز سفارت اور ہے کربلا والوں کھینچی ہے سینہ اکبر سے برچھی کی انی آخری یہ شاہ دیں بیٹے کی خدمت اور ہے کربلا والوں ریگ زار گرم پر چادر بچھاتے ہیں حسین کیا کریں کہ لاشہ قاسم کی حالت اور ہے کربلا والوں باب خیبر کا اٹھانا وہ شجاعت اور تھی تیر کھا کر مسکرانا یہ شجاعت اور ہے کربلا والوں دشمنان کربلا پھر معرکہ آرائ ہے آج مجلس و ماتم کی شاہد اب ضرورت اور ہے کربلا والوں Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay Har payambar par jo aayi wo musibat aur hay 1) Asr tak kya jaane kya ho pyas ki shiddat ka haal Subho se ashoor ke suraj ki hiddat aur hay Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay 2) Kat ke sar darul amaara par hay shah ka muntazir Koofiyo muslim ka andaze sifarat aur hay Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay 3) Kheenchni hay seenaye Akbar se barchi ki ani Aakhri ye shahe deen betay ki khidmat aur hay Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay 4) Raigzaare garm par chadar bichaatay hain Hussain Kya karain ke laashaye Qasim ki haalat aur hay Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay 5) Baabe khyber ka uthaana wo shuja-at aur thi Teer khaakar muskurana ye shuja-at aur hay Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay 6) Dushmanane Karbala phir maarka aara hay aaj Majliso matam ki Shahid ab zururat aur hay Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay |