Tamaam aalam may aaj matam, Hussain bekas ka ho raha hay Alam gharon may sajay huway hain, dilon may farsh-e-aza bicha hay Tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hay
1) Siyah kapre siyah chadar, ghamon ki gardo ghubaar sar par (x2) Hain sogwaron kay ashk jaari, ke sani-e-Zehra be rida hay Tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hay
2) Na chashme purnam ho kyon sawali, juloos hay zuljanah khaali (x2) Ke mera duldul sawar-e-maula, zamin-e-karbal may so raha hay Tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hay
3) Alam may mashk-e-Sakina dekho, to momino bas yeh keh ke rolo (x2) Chacha bhatiji may kya hay nisbat, wafa-e-abbas kya wafa hay Tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hay
4) Hussain peeri may dil sambhale, ke dil se uljhi sina nikaale (x2) Jawaan beta lahu may dooba, zameen pe aeri ragar raha hay Tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hay
5) Na maar barchi dil-e-nabi par, abhi huway hai jawaan Akbar (x2) Ye qatl jisko tu kar raha hay, yehi to ham shakl-e-Mustafa hay Tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hay
6) Madinay walo khamosh rehna, ghareeb Zainab say kuch na kehna (x2) Basa huwa ghar jo le gayi thi, wo karbala may ujad gaya hay Tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hay
7) Azaa-e-Shabbir hay ibadat, janab-e-Zainab ki hay amaanat Ye nauha teray qalam se mehshar, janab-e-Zahra ki ek ataa hay Tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hay |