Arbaeen karna hay shah-e-karbalayi ka
1) leke daagh seene par shah ki judaai ka haq ada kare zainab kaise apne bhai ka qaafila utar aaya, sabr ki khudayi ka karbala ke maidaan par fatima ki jaayi ka Arbaeen karna hay shah-e-karbalayi ka
2) maut ke bayaabaan may zindagi ka maatam hay zulm ke andheron may roshni ka maatam hay aansuon ke toofaan may tashnagi ka maatam hay ek behan ke hissay may har kisi ka maatam hay Arbaeen karna hay shah-e-karbalayi ka
3) bhai kya sunaaun mai hum pe kya sitam guzre baad-e-asr-e-aashoora be-kafan thay sab laashe shaam-e-gham ke jaatay hi maut ke badhe saaye chin gayi rida meri bhai jal gaye qaimay Arbaeen karna hay shah-e-karbalayi ka
4) door tak nigaahon may shaam ka andhera hay karbala say kufa tak haadason ne ghayra hay jabse nowne-haalon ne moo ko apne phera hay maamta ki godhi may maut ka basera hay Arbaeen karna hay shah-e-karbalayi ka
5) baad-e-karbala bhai, har qadam qayamat thi be-rida rasan basta raah-e-shaam se guzri bhai hum tamaasha thay raastay tamaashayi har qadam dua yeh thi kaash maut aajaaye Arbaeen karna hay shah-e-karbalayi ka
6) bhai qaid khaanay ki teeragi se ho aaye aap ki amaanat ko zulmaton may kho aaye khoon goshwaaron ka aansuon say dho aaye yun sakina bibi ko sab aseer ro aaye Arbaeen karna hay shah-e-karbalayi ka
7) sab se juda ho kar jab madina jaaungi jake maa ki turbat par marsiya sunaungi karbala ke maqtal may kya huwa bataungi bhai apnay baazu ke neel bhi dikhaungi Arbaeen karna hay shah-e-karbalayi ka
8) bhai ab khudahafiz khabr say chali zainab bin tere guzaa-regi kaisay zindagi zainab uth gayi fareed aakhir keh ke ya ali zainab ranjo gham ki dunya may phir say kho gayi zainab Arbaeen karna hay shah-e-karbalayi ka
|