Ki Sakina nay yeh Abid se wasiyat bhaiya Is zindan may banana meri turbat bhaiya
1) Chahti hoon may jahan soyoon woh mitti num ho Tishnagi ki jo aziyat hay woh zara si kam ho Hadiyo tak may hay pyas ki woh shiddat bhaiya
2) Tumko maloom hay dard ki shiddat meri Dar e zindan pay parandoon ko jab dehkhti thi Aur barh jati thi ghar janay ki chahat bhaiya
3) Qaid may baba ka sar aaya magar lash nahi Lash pay ran may pohonchi thi to lash thi sar kaheen Na hui poori mulaqat ki chahat bahiya
4) Tum agar paana meri baliyaan meri chadar Meri Sughra ko woh day dena Madinay ja kar Bhool paye gi na woh meri mohabbat bahiya
5) Ja kay batlana meray Fazl say rudaad meri Choti dadi say bhi keh dena ye uftaad meri Kis tarha tum nay uthayi meri mayyat bahiya
Ki Sakina nay yeh Abid se wasiyat bhaiya Is zindan may banana meri turbat bhaiya
|