May sham-e-ghariban ka kiya haal sunaoon (x2)
Zainab ka sar khula hay ridaa kaise urhaoon May shaam-e-ghariban ka kiya haal sunaoon (x2)
1) Darya to hay maujood, magar pyaas kahan hay Soye huay maqtal may, sabhi peer or jawaan hain Kis kis ko kafan doon may, lahad kis ki banaoon May shaam-e-ghariban ka kiya haal sunaoon (x2)
2) Sehmay huay bachon ko, jalay khaymo ke andar Samjaa-ti hay ro ro kay, yehi dukhtar-e-Haider Sojao jo tum log to may pehray pe jaaoon May shaam-e-ghariban ka kiya haal sunaoon (x2)
3) Jab zawjaa-e-Hur aayi, liye paani ke saaghar Dil phat gaya kehne lagi, besheer ki madar Ajaa Ali Asghar may tujhe pani pilaoon May shaam-e-ghariban ka kiya haal sunaoon (x2)
4) Tareek bayabaan hay, lahu rang hay sehra Khaymo may shahe deen ke, udaasi ka hay pehra Ashko ke diye kiyun na andhere may jalaoon May shaam-e-ghariban ka kiya haal sunaoon (x2)
5) Aey sham-e-ghariban tu, gharibo ki madad kar Laade sar-e-Zainab ko, tu dundh ke chaadar Sar deen-e-muhammad kaa khula hay to chupaoon May shaam-e-ghariban ka kiya haal sunaoon (x2)
6) Roti hay Sakina to, tarap jaata hay darya Har saans pe takraata hay, Abbas ka lasha Is manzar-e-gham raat ko kis tarha bataoon May shaam-e-ghariban ka kiya haal sunaoon (x2)
7) Nagaah Ali aagaye, Zainab ye pukaari Be bhai ke baba hui, beti yeh tumhaari Dil May jo mere zakhm hain kis tarha dikhaoon May shaam-e-ghariban ka kiya haal sunaoon (x2)
8) Baba mujhe gham bhai ka, jeenay nahi denga Seenay se lagaa lijye, mujko mere baba Batlaaye ye gham aur kahaan sadmay uthaoon May shaam-e-ghariban ka kiya haal sunaoon (x2)
Zainab ka sar khula hay ridaa kaise urhaoon May shaam-e-ghariban ka kiya haal sunaoon (x2)
|