Watan may ahle haram ka jo qafela pohoncha Basheer karta tha sar apna peet kay nauha Madinay walo nabi ka ujar gaya kunba Faqat hay mardoon may baqi janabe zainul aba
Nabi kay roze pay woh sabse pehlay jayain gay Waheen pay hale safar apna woh sunayain gay
Madinay walo nay jis dum suni yeh ghum ki khabar Buka o sina zani se bapa hua mehshar Asa sambhalay huay aik bibi peet-ti thi sar Nabi kay roze pay jaati thi kehti haey padar
Aarey qareeb naqoon kay pohonchi jo Fatema Sughra To usne nala o shewan may apna naam suna
Aey Fatema Sughra ghar loat gaya beta (x2)
Kiya dhondti hay haal pareshan dulari Baba ki teray aayi nahi firqe sawari Bhayya Ali Akbar bhi tera aya na pyaari Sau bar phuphi ho tay mazloomi pay wari Mein deti hoon pursa
May tujko sunati hoon woh sab haal safar ka Pardes may kis tarha luta gulshane Zehra Sar nange gaya kis tarha bazar may kunba Darbare sitamgar ka aur qaid ka kissa Sun aey meri dukhya
Jis waqt hua barchi tokre dile Akbar Aankhon may basharat na rahi Shah kay dilbar
Laashon ko uthane gaye is hal may Sarwar Girte thay har ik laash pay Akbar ki samajh kar Milta na tha laasha
Shabbir nay jab laasha e farzand ko paya Khenchi jo sina sath kaleja nikal aaya Mayyat ko jawan betay ki phir jhuk ke uthaya La kar usay maidan se khaime may litaya Ek hashr tha barpa
Tu dhondti hay jiski har ik goad may dilgir Cheh mah ke asgar ki nahi thi koi taqsir Mara bine kahil nay tere bhai ko ik teer Khoon muh se ugal kar hua be jaan woh besheer Khali hua jhula
Shaadi hui Qasim ki magar ras na aayi Ek raat suhagan rahi bewa huwi Kubra Pamal kiya zalimo nay dulhay ka laasha Maqtal may tane jane Hasan bikhra para tha In ankhon nay dekha
Uf tashnagi bachcho ki jo pate thay nahi chain Aati thi sadaey alatash aur kabhi bain Jab hadse siva dekha jo atfal ko bechain Pani gaya bharne pisare Sayyede kunain Mara gaya saqqa
Kamsim bhi thay pyase bhi thay woh dono dulare Lekin jo gaye larte woh darya kay kinare Kuch gham nahi jo Aun o Muhammed gaye mare Pehle hi thay woh bhai kay sadqe may utare
Baad jiske haey haey karb o bala may hua mehshar Shabbir ki gardan pay chala zulm ka khanjar Khaimay bhi jalaey gaye aur chin gayi chadar Na mehramoon ka majma tha aur ham thay khule sar Har lamha thi eeza
Bachcho kay gale bazu hamare gaye bandhe Kuch oont liye itne may aada wahan aaye Un naqoon pay bithlaya na tha jinke kajave Thi gyarah moharram jo chale karbobala se Din raat safar ka
Kis tarha sunao may safar ka tujhe ehwaal Chehre ko chupaye huay thay bibiyo kay baal Is jabr tash shadat say safar ka tha bura haal Kuch jism kay hisso say juda ho gayi thi khaal Woh dekhengi beta
Sab bibiyon kay hath pase pusht bandhe thay Maoon kay bajaey thay pisar maao ko pakre Raftar ki tezi se sambhal paye na bachche Chausat meray masoom gaye naqoon se kuchle Yeh taza alam tha
Darbar yazide may gaye phir hamay lekar Bithlaye the woh kursi nasshi satt sa lakar Jakre huay rassi se thay sab aur khule sar Phut jata hay dil karti hu jab yaad woh manzar Kya waqt kathin tha
Darbar se le jake rakha qaide sitam may Paya na sukoon wahan bhi wafa huan ghum may Ghut ghut kay Sakina mari zindane sitam may Ek bar qayamat hui phir ehle haram may Lasha bhi na uththa
Zindan hi may nanhi si qabr aik banayi Dafna di khasad zabr wahan banu ki jaayi Hum sabko diya zalimon nay hukme rehaayi Mar kar bhi rehai na mayassar usay aayi Woh reh gaayi tanha
Zindan kay darwazay pay jab aayi amari Sar peet kay ye bano e nashaad pukari Bar ayi tamannae dili aab teri pyaari Uth chalo ghar jate hay aey dard ki maari Shaq hota tha seena
Maa dekh rahi peet kay sar apna duhai Thi shor bahut bibiyo kay dil pay judai Lekin hui marqad say Sakina kay judai Phir Shaam kay zindaan se sare Karbala aayi Phat-ta tha kaleja
Jab bibiyo ko ganje shaheeda nazar aaya Naqe se qareb bibi nay apnay ko giraya Nazroon may tha aashur ka manzar jo samaya Bus dekhtay hi muh se kaleja nikal aaya Har lab pay tha nauha
Sajjad nay dafna diya jab lashay bahattar Ansoro azizo ka kiya chehlome Asghar Abbas ka Qasim ka chehlome Akbar Us aalame gurbat may kiya chehlome Sarwar Kuch paas nahi tha
Sughra nay suni Zainabe muztar se ye rudad Chera na raha zabt ka gash ho gaayi nashaad Us waqt anees ehle haram nay jo ki fariyad Hosh apnay ganwa baitha wahan jitnay thay aabad Sab karte the nala
Aey Fatema Sughra ghar loat gaya beta (x2)
|