Thi yeh Zainab ki sada, zakhmi pehlu hay tera, aey maa Zehra
Ghum say labrez hua, kaisa andher hua, aey meri maa Zahra
1) Maa tu darbar gaye, pesh-e-sarkar gaye Tu nay Quran parha, tu nay kutba bhi deya Teray Hasnain gawah, aey meri maa Zehra
2) Zulm ummat nay kiya, jalta dar tujh pay gira Chot par chot lagi, dil tera toot gaya Zakhmi pehlo bhi howa, aey meri maa Zehra
3) Nana nay parda kiya, chain duniya say gaya Aa gaya waqat naya, zulm baba pay howa Jiska rasi main gala, aey meri maa Zehra
4) Haq tera cheena gaya, wirsa baba ka tera Lay gaye ahlay jafa, tujh ko mehrom kiya Saach ko maadom kiya, aey meri maa Zehra
5) Sajay bazar gaye, kaisay darbar gaye Shaam ki nehas ghari, may akaili hi rahi Tha rasan may bhi gala, aey meri maa Zehra
|