Chalaa may wada nibhaane(x2) Salaam maa kay mazaar salam nana kay roze, Salam maa kay mazaar (x2)
Chalaa may waada nibhaane (x2) salam maa kay mazaa salam nana kay roze, Salam maa kay mazaar
1) May tera deen bacha oonga, aey meray nana, May apna khoon bahaa oonga, aey meray nana, Husain jaata hay marnay (x2) salaam maa kay mazaar Salam nana kay roze, Salam maa kay mazaar (x2)
2) Meri shareeke safar ban ke, sath chal amma Safar pe jaata hu kapre, meray badal amma Libaas khuld sajaa de (x2) badan pe phir ek baar Salam nana kay roze, Salam maa kay mazaar (x2)
3) Dua karu koi sar be, rida na ho amma Namaaz zoqe shahadat, qazaa na ho amma Na aaye meray chaman pe (x2) sitam ki gardo ghubar Salam nana kay roze, Salam maa kay mazaar (x2)
4) Diyaa jalane ko nana, tumhare rozay par Zaroor ayegi Sughra, har aik sham-o-sahar Khuda kare rahe roshan (x2) sada tumhara mazaar Salam nana kay roze, Salam maa kay mazaar (x2)
5) Tumhare jaisa hay nana, ye mera laal Akbar Dua karo na lage isko, asmaan ki nazar Lute na door watan se (x2) hamare dil ka qarar Salam nana kay roze, Salam maa kay mazaar (x2)
6) Hamari phool se bachi hay, aur garm hawaa Hamare khoon ki pyaasi hay, foje zulmo jafaa Safar may koi shajar bhi (x2) nahi hay saaya daar Salam nana kay roze, Salam maa kay mazaar (x2)
7) Ha ek phool to esa hai, jo khila bhi nahi Na paye pani to kar sakta, wo gila bhi nahi, Wo jiske dehay se aati (x2) hay doodh ki mehkar Salam nana kay roze, Salam maa kay mazaar (x2)
8) Meri Sakina kahaan aur, rasan kay bandh kahaan Zamine garm pe chalna, usay pasand kahaan Qadam wo phool se nazuk (x2) wo rastay pur khar Salam nana kay roze, Salam maa kay mazaar (x2)
Challa may waada nibhaane (x2) Salam maa kay mazaa
|