Ammu bhi gaye, Baba bhi gaye (x2) Jis dam jale khayme, Shahanshah-e-behr-o-bar Ik bachi nikli khaime se us dam barehna sar Jalta tha daaman aag say, kapre thay khoon may tar Maqtal ki simt rukh kiye, jaati thi nauhagar Saab Ran may jaake rehgaye, tanha hamay kiya Aada nay cheeni chadarain, khaima jala diyaa Ammu bhi gaye, Baba bhi gaye (x4) 1) Taa hadde nazar laashay hain paray (x2) Bandhe halqa aada hain khare (x2) Ghar jalta hay zar luta hay (x4) Waaris na rahay Ammu bhi gaye, Baba bhi gaye (x2)
2) Luta zewar chini chadar (x2) Hain Al-e-Muhammad nange sar (x2) Karte hain jafa hum par Aada (x4) Koun bb roke Ammu bhi gaye, Baba bhi gaye (x2)
3) Bar waqt phuphi khaime may gayeen (x2) Bistar hi jala bas khair huwi (x2) Tap hay aysa ghash may bhayya (x4) Aabid hain paray Ammu bhi gaye, Baba bhi gaye (x2)
4) Dam ghut-ta hay phaila hay dhuwan (x2) Ab jaayan kahan jo payan amaan (x2) Hay kaun yahan jo ja kay wahan (x4) Qasim say kahay Ammu bhi gaye, Baba bhi gaye (x2)
5) Athara baras youn pala tha (x2) Pardes may Akbar hongay juda (x2) Seena koobi karti hay phuphi (x4) kar kay naalay Ammu bhi gaye, Baba bhi gaye (x2)
6) Naloon say kaleja phat-ta hay (x2) Ek dard saa dil may uth-ta hay (x2) Maa roti hay jaan khoti hay (x4) Asghar na rahay Ammu bhi gaye, Baba bhi gaye (x2)
|