Shabeeh-e-Payambar Akbar, nauha kare maa (x2) Shah ka dilbar Akbar, nauha kare maa Shabeeh-e-Payambar Akbar, nauha kare maa Shah ka dilbar Akbar nauha kare maa
1) Armaan bohot tha may teri shaadi rachawoon (x2) Ik roz dulhan chand si may bayaah kay laawoon (x2) Bayaah Kai Laawoon Par laash pe roti hay teri kookh jali maa Shabeeh-e-Payambar Akbar, nauha kare maa Shah ka dilbar Akbar nauha kare maa
2) Zinda se tumhe dekh ke ab kaysay jienge (x2) Socha tha teray bayaah ki poshak sienge (x2) poshak sienge Par tujh ko kafan bhi na mila haey meri jaan Shabeeh-e-Payambar Akbar, nauha kare maa Shah ka dilbar Akbar nauha kare maa
3) Roti hay phuphi jis nay tumhe laad say paala (x2) Tum kya gaye rukhsat hua is ghar say ujala (x2) is ghar say ujala Ik baap zaefi may hua be sar-o-saman Shabeeh-e-Payambar Akbar, nauha kare maa Shah ka dilbar Akbar nauha kare maa 4) Mar jae jawaan laal agar dour watan say (x2) Mahroom ho ghurbat kay sabab gor-e-kafan say (x2) gor-o-kafan saiy Tarpata hay is waqt may kya tangi-e-Daman Shabeeh-e-Payambar Akbar, nauha kare maa Shah ka dilbar Akbar nauha kare maa
5) Abbas ka sadma bhi bbhi kam na hua tha (x2) Aysay may meri jaan tera waqt-e-ajal aaya (x2) waqt-e-ajal aaya Tum mare gaye kiyun mar na gayi lal teri maa Shabeeh-e-Payambar Akbar, nauha kare maa Shah ka dilbar Akbar nauha kare maa
6) Beemaar behan takti hay beta tera rasta (x2) Pardes may aayae to Rahaa yaad na waada (x2) yaad na waada Maqtal kiya aabaad Madina kiya wiraan Shabeeh-e-Payambar Akbar, nauha kare maa Shah ka dilbar Akbar nauha kare maa
7) Phirta hay meri ankh may Ab tak wohi manzar (x2) Ay jaan-e-pader noor-e-nazar aer Ali Akbar (x2) aey Ali Akbar Hamshakl-e-Nabi kehte thay tum ko Shah-e-Zeeshaan Shabeeh-e-Payambar Akbar, nauha kare maa Shah ka dilbar Akbar nauha kare maa
8) Allah nigehban tumhara meary pyaare (x2) Ham log rasan basta sue Shaam sidhare (x2) Shaam sidhare Sota hay teray sath yahin Asghar-e-naadan Shabeeh-e-Payambar Akbar, nauha kare maa Shah ka dilbar Akbar nauha kare maa
9) Pyaase thay bohot pyaas ye kis tarha bujhaai (x2) Is chaand say seenay pe sina zulum ki khayi (x2) zulum ki khayi Tum sote ho maa jaati hay beta sue zindaan Shabeeh-e-Payambar Akbar, nauha kare maa Shah ka dilbar Akbar nauha kare maa
10) Rehan yeh kya khob likha ghum ka gasana (x2) Zehra(s.a.) nay tujhe bakhsha hay lafzoon ka khazana (x2) lafzoon ka khazana Lay ho gaya bakhshish kaa tere hashr mein samaan Shabeeh-e-Payambar Akbar, nauha kare maa Shah ka dilbar Akbar nauha kare maa
|