Ye shame gharibaan hay, dariya ki rawani hay (x2) Pyase na rahe baki phir kisliye paani hay Ye shame………
Asghar tere lashe ko maa ban ke zamin rakhe (x2) Ujri huwi godi ki (x2) Masum nishani hay Ye shame………
Khun kaise ruke logo Akbar ka jawani mai (x2) Hay khun naya lekin (x2) barchi ko purani hay Ye shame………
Malum na tha sheh ko khud apne hi hathose (x2) Shabbar ki nishani bhi (x2) Mati me milani hay Ye shame………
Shabbir ko khanjar se zyaad aa ye aziyat hay (x2) Taklif jo zindan me (x2) Bachi ko uthani hay Ye shame………
Zainab ne kaha thero me dasht me aati hu (x2) Bhaya tume Akbar ki (x2) Ab laash uthani hay Ye shame………
Ye to mujhe lagta hay lasha kisi dulha ka Patka jo qamar may hay (x2) rang is ka to dhani hay Ye shame………
Har gham ko bhula denge har yaad mitadenge (x2) Zehra tere bacho ki (x2) Bas yaad manani hay Ye shame………
Rehan ki Sarwar ki pehchan hay jannat may In dono ke seeno pe (x2) matam ki nishani hay Ye shame………
|