Na dil rota, na gham hota, na aisa kahin matam hota (x2) Shabbir(a.s.) agar teri Azadari na hoti (x2)
Mazloom ki duniya mein (x2) tarafdari na hoti Shabbir(a.s.) agar teri Azadari na hoti (x2)
1. Shabbir(a.s.) ka maqsad jo, samajh layta zamanaa (x2) Quran ko samjhnay mein (x2) ye dushwari na hoti Shabbir(a.s.) agar teri Azadari na hoti (x2)
2. Kya fayeda ankhoon ka, reh jata zara socho (x2) In ankhoon mein Mawla ki (x2) jo gham khawari na hoti Shabbir(a.s.) agar teri Azadari na hoti (x2)
3. Shabbir(a.s.) ke rozay pe, kuch roz jo rehte (x2) tumko ko kabhi jannat ki (x2) talab-gari na hoti Shabbir(a.s.) agar teri Azadari na hoti (x2)
4. Do roz bhi jannat mein, rehna hamein mushkil tha (x2) Zehra(s.a.) tere Bachoon ki (x2) jo sardari na hoti Shabbir(a.s.) agar teri Azadari na hoti (x2)
5. Ghazi(a.s.) teray jaisa jo, alamdar na hota (x2) Dunya mein alam hotay (x2) alamdari na hoti Shabbir(a.s.) agar teri Azadari na hoti (x2)
6. Sharminda Sakina(s.a.) se, agar hota na pani (x2) Yeh rasm sabilo ki (x2) kabi jaari na hoti Shabbir(a.s.) agar teri Azadari na hoti (x2)
7. Namos-e-Muhammad(a.s.) ko, jo pehchanti dunya (x2) Zainab(s.a.) ke khule sar pe (x2) ye sang-bari na hoti Shabbir-e agar teri, azadari na hoti (x2)
8. Jannat may qadam rakhtay nahi Sarwer-o-Rehan (x2) Jannat may jo Mawla ki (x2) Azadari na hoti Shabbir(a.s.) agar teri Azadari na hoti (x2)
Mazloom ki duniya me (x2) tarafadari na hoti Shabbir(a.s.) agar teri, azadari na hoti (x2) |