Sakina(a.s.) qaid ho ke Karbala se Shaam jati hay
Efforts: Faysal Ali

1) Sakina qaid ho kar Karbala se Shaam jati hai
Azeeyat kamsini par hay gardan lekin uthati hay

2) Phupi se kis tarah batlaye rahoon ki tapish bachi
Zameen par pao rakhte hi use fauran uthati hay

3) Sakina kitni raato se nahi soyee khuda jane
Who bachi kya kare seenay pa jisko neend aati hay

4) Kahaan who baap ka seena kahaan yeh pusht naaqe ki
Tassalli kaise paati thi tasalli kaise paati hay

5) Nigah kar ke baba ke kate sar ki taraf bachi
Jala daman, phata kurta, nishaan rukh ke dikhati hay

6) Yeh hadde zulm hay rone nahi dete usay zalim
Labe khamosh may ammu ko hale dil sunati hay

7) Sakina is qadar dushwar lamho me bhi zinda hay
Jaha par aake har insaan ki himmat toot jati hay

8) Salame aakhri karbobala kar lo sakina ko
Palat kar ab na ayegi yeh soo-e-sham jati hay

9) Yateemi par, chacha par, be ridayi par, hai chashme tar
Sakina pyas ki shiddat se kab ansu bahati hay

10) Bhare ghar ki chahiti hay baray nazo ki paali hay
Abhi kamsin hai ik durra lage to kaamp jati hay

11) Koi baali sakina se zara shadab yeh kah day
Teri faryaad sun kar qabre Zahra thartarati hay