Ya Hussain(x3)
Waqt-e-rukhsat bap ko baitay ka mur kar dekhna Haye haye (x2)
Waqt-e-rukhsat bap ko baitay ka mur kar dekhna Haye haye (x2)
1) Karbala, karbala, karbala, ab imtihan-e sabr-e Sarwar dekhna Haye haye (x2) Waqt-e-rukhsat bap ko baitay ka mur kar dekhna
2) Door tak jatay howay dekha kiay kartay Hussain Thukaray kha kha kay khud sambhla kiay kartay Hussain Aye Ali Akbar zara peechay palat kar dekhna Haye haye (x2) Waqt-e-rukhsat bap ko baitay ka mur kar dekhna
3) Ma kay armaano ki chadar ka amaama sar pe hain Fatima Sughra ki ankho ka ujala sar pe hain Bigray ga ek pal may kitno ka muqaddar dekhna Haye haye (x2) Waqt-e-rukhsat bap ko baitay ka mur kar dekhna
4) Dosh par bikhree hovey zulfay ura ti thee hava Bikhrey zulfo say nikalty ja rahi thee karbala Maut ki jurrat nahi thi ankh bhar kar dekhna Haye haye (x2) Waqt-e-rukhsat bap ko baitay ka mur kar dekhna
5) Uth raha hay gir raha hay ek parda bar bar Umme Laila ka ye khayma hay meray parwardigar Lash jab aiye to mar jaiyengi madar dekhna Haye haye (x2) Waqt-e-rukhsat bap ko baitay ka mur kar dekhna
6) Haye maqtal ghutnio kay bal chala hay is qadar Kehta hay awaz de mujhko meray noor-e-nazar Kho gaye beenayi meri meray dil bhar dekhna Haye haye (x2) Waqt-e-rukhsat bap ko baitay ka mur kar dekhna
7) Aye Hussain ibn-e Ali Jao na Akbar kay qareeb Zulm aisa ho gaya hai, tab la saktay nahi Kia gawara hay sina seenay kay andar dekhna Haye haye (x2) Waqt-e-rukhsat bap ko baitay ka mur kar dekhna
8) Imtiha hay burhay kandhoo ka jawan baitay ki lash Khoon may dubee kis tarhan daikhay gi maa baitay ki lash Is jaga awlad waloo khud ko rakh kar dekhna Haye haye (x2) Waqt-e-rukhsat bap ko baitay ka mur kar dekhna
9) Marte dam Akbar ko dar hay maa na ajaye kaheen Bah raha hay khu meray sinay say rangin hay zamin Kehdo amma say mujhe yu na taraptay dekhna Haye haye (x2) Waqt-e-rukhsat bap ko baitay ka mur kar dekhna
10) Baba meri ma meray gham ko utha sakti nahi Neend aisey arahi hai, ma jaga sakti nahi Zakhm mera ma ki nazro say bacha kar dekhna Haye haye (x2)
|