Abbas alam tera maqtal say aa raha hay Shabbir ki qamar ko (x2) haey jukha raha hay 1) Yeh alaam Hussainiyat ki pehchan karata Yehi Yazeediat kai haar farq ko batata Koi choomta hai aakar (x2) koi jala raha hay 2) Deti thi dilasai main aayai ga abhi pani (?) Sab mil kai dua mangon Ghazi ki hai jawani Kyun khaali alam baba (x2) khaimai mai la raha hay 3) Mushkil kusha ka beta kerta hai yun qayazi Kuch mang kaar to dekho daita hai mera Ghazi Hai hath alam paar jo (x2) Ghazi bula raha hay 4) Zainab ki khaimeh ghaar sai avaz yeh hai ayi Shabbar ka jo wada tha waapis hun lainai aayi Tatheer ka hai zaman (x2) maqtal main ja raha hay
5) Masooum kay ja par hai kya zulam howa dehko Maarjaye na Sakina Abbas zara dehko Asghar ki pyaas Hurmal (x2) kaisay bujara ha hay 6) Mamnun tera hun main likhna sikha diya hay Sajjad ko is qabil mola bana diya hay Teri wafa ki baatain (x2) sab ko suna raha hay
|