Amma Fizza bata day mujh ko pathar kyun aa rahay hain
Kaisa hay yeh charaghaan, dil dubhai jaa rahain hain, kya Shaam agaya hay
1) Nayzay pe jitna sar hain, ik saar hay un me aisaa Ankhain hay band us ki, aur khaak paar hay girta Abbas kah yeh saar hay, taiwar bahta rahe hain kya Shaam agaya hay
2) Aya joh babeh saatir, roke gaye musafir Keheta tha Shimaar in ko, karna abee na haazir Darbar koh abee hum, dulhan bana rahain hain kya Shaam agaya hay
3) Maaon kee godiyon se, lipteh huay hain bachey Hain haat rasiyoon may, Maoon se ehseh jakray Bachay jo gir rahain hain, Woh martay jaa rahain hain kya Shaam agaya hay
4) Honay lagee azaanain, kaisay saron ko dhanpain Baazoo bundhe houay hain, khoon ro rahee hain aankhain Ankhoon ke khoon seh rastay, khoon meh naha rahay hain, kya Shaam agaya hay
5) Hain log kis taraah keh, hum seh dua karain Eh qaidio dua doh, yeh din nah hum pe aayain Leh kar duyain hum seh, dil bhi dukhaa rahe hain kya Shaam agaya hay
6) Itnah chalain hain paidal, kantoon pe saray qaidi Thuk jaati chalte chalte, chalti agar zameen bhi Pairon ke aablay bhee, aansoo baha rahay hain kya Shaam agaya hay
7) Rehan qaidiyoon me, burpah tha shor-e-giryaah Baloon se kar rahee thee, matam joh Bint-e-Zahra Sajaad noha khwan hain, noha suna rahain hain kya Shaam agaya hay |