Sakina utho, Meri jaan utho, Rehayi mili, Chalo ghar chalain (x2)
Ye karti thi maa, lahad par buka, Meri ladli, Chalo ghar chalain 1. Yahan sey chalo, Chalain karbala, Wahi par tumhey milen gey chacha, Sitam jo huwey batana unhain, Dikhana unhain yeh kurta jala, Chacha jaan ko, dikhana zara, Ridah khoon bhari, Chalo ghar chalain 2. Pidar sey milo, to dil joyi ho, Batana unhain, bohot royi ho, Qasam lo agar, tumharey bina, Sakina kabhi kaheen soyi ho, Lahad jab milay, tujhe baap ki To kehna yahi, Chalo ghar chalain
3. Lahad jab mile tuje bhaiyi ki Tu kehna usay meri ladli, Rehayi mili hamay qaid sey, Hamey ab nahi aziyaat koi, Meray bezubaan utho ghar chalain, Shabih e Nabi, Chalo ghar chalain
4. Mazar e Nabi laraz jaye ga, Behan jab teri karay gi buka Kahan hain chacha kahan hain padar, Kahan hay bata baradar mera Sunanay isay ye rodad e gham, Yehi bebasi chalo ghar chalain
5. Batana unhai sabhi sakhtiyan, Mileen kis qadar tujey ghurkiya Hamari ridha luti kis tarha, Chini kis tarha teri baaliya, Bata na unhai bujhi kis tarha Teri tashnaghi, Chalo ghar chalain 6. Labe alqama tu karna fughaan, Teri mauj hay abhi tak rawaan, Meri pyaas par huwe jo fida, Chacha ke merey hain baazu kahan, Kahan mashk hay kahan hay alam, Kahan hay jarii, Chalo ghar chalain
7. Sar e qaid gham teri har gharii, Labo par bhuka faqat thi yahi, Sitamgar ka dar, Mere dil mei hay, Yahan neendh kya mujey aayeghi Buka karti thi yahi raat din, Yahan sey puphi, Chalo ghar chalain
8. Behen ke liye teri ladli, Rahi ghamzada bani mattami Yahan nawha khwaan, Agar tum raheen, Wahan meheve gham hain Sughra teri, Behen se aghar tuje pyaar hay, Fughaan sun meri, Chalo ghar chalain
9. Gaya marqade Sakina pe gar, Karega wahan ye Mazhar bayaan, Ata umra kar ise daayini, Hain yeh Fatima teri nawha khwaan Wahan jaake phir, Kahegha nahi, Mera dil kabhi, Chalo ghar chalain |