Saarbaan saarbaan Maula ghum zada natawan sarbaan (x3)
1) Waapis madine agaya lo karwaan ujra huwa Ujri thi saari bibiyan, Sajjad ka nawha ye tha Roenge tauqo beriyan (x3) Who Shaam aur may alamaan Aisa bana may saarbaan (x2) Maula ghum zada natawan sarbaan (x2)
2) Logo Madina lutgaya Koi nahin mere siva Daghon se he sina bhara (x2) Tanha karun kya kya bayaan Aisa bana may saarbaan (x2) Maula ghum zada natawan sarbaan (x2)
3) Hajat talaq who mehrebaan Abbas who meere karwaan Mara gaya kya nagahaan (x2) Akhir liye unka nishaan Aisa bana may saarbaan (x2) Maula ghum zada natawan sarbaan (x2)
4) Kitna kathan tha who safar Nezon pe the pyaron ke sar Uthti na thi meri nazar (x2) Beparda behne aur maa Aisa bana may saarbaan (x2) Maula ghum zada natawan sarbaan (x2)
5) Gham tha qayamat se bara Charo taraf the ashkiya Naamus meri berida (x2) Rota tha sun sun kar azaa Aisa bana may saarbaan (x2) Maula ghum zada natawan sarbaan (x2)
6) Kya ronake bazaar thi Patthar ki bhi bochhar thi Aur who hasi kuffar ki (x2) Khamosh thi meri zabaan Aisa bana may saarbaan (x2) Maula ghum zada natawan sarbaan (x2)
7) Us shaam ke bazaar ne Who gham diye darbaar ne Jab may laga lalkaarne (x2) Dene lage zaalim azaan Aisa bana may saarbaan (x2) Maula ghum zada natawan sarbaan (x2)
8) Hajat talaq who mehrebaan Abbas who meere karwaan Mara gaya kya nagahaan (x2) Akhir liye unka nishaan Aisa bana may saarbaan (x2) Maula ghum zada natawan sarbaan (x2)
9) Logo madina lutgaya Koi nahin mere siva Daghon se hay sina bhara (x2) Tanha karun kya kya bayaan Aisa bana may saarbaan (x2) Maula ghum zada natawan sarbaan (x2)
10. "Rehan-o-sarwar" umr bhar Aankhein rahengi nawha gar Jis waqt farshe dard par (x2) Nawhay may hogaya ye bayaan Aisa bana may saarbaan (x2) Maula ghum zada natawan sarbaan (x2)
|