1) Salwato salam aap pe ya Fatima Zehra Ham aaye hain pursay ke liye Fatima Zehra
2) Ham detay hain pursa tumhain Abbase jari ka Aur Akbare dilgeer ka ya Fatima Zehra
3) Zainab ke pisar Auno Mohammed ka bhi pursa Aur Asghare besheer ka ya Fatima Zehra
4) Abbas jo lashkar ka tha Sarwar ke alamdar Dariya pe usay qatal kiya Fatima Zehra
5) Pamal kiya Qasime bepar ki laash ko Kubra ko bhi bewa kiya ya Fatima Zehra
6) Kano se Sakina ke utaray gaye gohar Zainab ki bhi chini hay rida Fatima Zehra
7) Beri pinhaye dohri badan zakmi kar diya Sajjad pe ye zulm kiya Fatima Zehra
8) Ik din may bharay ghar ko ujarra hay sitam ne Koi na sar e dasht bach, ya Fatima Zehra
9) Do betay fida kar diya bhai pe behan ne Wo bhai magar qatl hua, Fatima Zehra
10) Pyason pe fida ho gaya saqqa e haram bhi Baqi hay alam khoon may bhara, Fatima Zehra
11) Hamshakl e Paymber ne sina seenay pe khaayi Ye zulm bhi ummat ne kiya, Fatima Zehra
12) Qasim ka badan ghorron se pamal hua hay Shabbar ka chaman khaak hua, Fatima Zehra
13) Hur aur Habib ibne Mazahir bhi hain besar Shabbir ka lashkar na raha, Fatima Zehra
14) Pohonchi hain Nabi zadian balway may khulay sar Ab tak jihain roti hay rida, Fatima Zehra
15) Zindan may Sakina ka janaza bhi uthaey Sajjad pe ye zulm o jafa, Fatima Zehra
16) Kis dil se Hussain aap ki rodad parrhon ga Mazhar jo bayan likh na saka, Fatima Zehra
|