Haey Karbala ke bun may ghareebon ka arbayeen Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Haey Karbala kay bun may ghareebon ka arbayeen (x2) Haey Karbala kay bun may ghareebon ka arbayeen (x2) 1) Shabeer ke mazaar pay Zainab ki hay jabeen Ansoo baha rahy hay qaidi Abide hazeen Aabad thi Hussain ke qadmon se ye zameen Ab haal ye hay sar pe koyi saayebaan nahi Haey Karbala kay bun may ghareebon ka arbayeen (x2) 2) Bhayya hamare waade ki takmeel ho gaye Aisa safar howa hay ke sar par rida na thi Darbare Shaam may thi qayamat ki bebasi Rudaade gham sunane ki taqat bhi ab nahi Haey Karbala kay bun may ghareebon ka arbayeen (x2) 3) Maa jaye pehlay aag lagi khaima gah may Har gaam aik taza qayamat thi rah may Bachi ki hichkiyoon ka hay manzar nigah may Zindaane Shaam me hay Sakina yahaan nahi Haey Karbala kay bun me ghareebon ka arbayeen (x2) 4) Laila tarap rahi hay ke dilbar nahi raha Lakhte jigar shabeehe payember nahi raha Roone ko maa to reh gaye Akbar nahi raha Chehlum jawan betay ka aur madare hazeen Haey Karbala kay bun may ghareebon ka arbayeen (x2) 5) Abbase namwar jo harum ka tha paasban Roti thi yaad kar ke jisay saari bibiyan Be aas jis ki lash pay thay shahe do jahan Lasha kaheen tha haath kaheen aur alam kaheen Haey Karbala kay bun may ghareebon ka arbayeen (x2) 6) Abbas tum nahi thay qayamath guzar gaye May karbala se Shaam talak nangay sar gaye Godi ke paale mar gayay me kyon na mar gaye Zainab tadap rahi thi laraznay lagi zameen Haey Karbala kay bun may ghareebon ka arbayeen (x2) |