Aey momino payame Sarwar ko yaad rakhna Ujra jo aik din me us ghar ko yaad rakhna
1) Aaghosh me tumhari masoom koyi aye Aur pyaar se koye maa jhoola usay jhulaye Banu ki baybasi ko Asghar ko yaad rakhna Aey momino payame Sarwar ko yaad rakhna Ujra jo aik din me us ghar ko yaad rakhna
2) Tumko khuda dikhaye khoshiyon ka har sawera Kismat se jab bhi bandho apnay pisar ka sehra Qasim ko yaad rakhna Akbar ko yaad rakhna Aey momino payame Sarwar ko yaad rakhna Ujra jo aik din me us ghar ko yaad rakhna
3) Dekho na zindagi may marna jawan pisar ka Betay ka daagh dil par hota hay umar bhar ka Laila ki hasraton ko Akbar ko yaad rakhna Aey momino payame Sarwar ko yaad rakhna Ujra jo aik din me us ghar ko yaad rakhna
4) Behnon ko betiyon ko jab bhi rida urhana Ham bekason ko hargiz dil se nahi bhulana Meri bahen ke sar ki chadar ko yaad rakhna Aey momino payame Sarwar ko yaad rakhna Ujra jo aik din me us ghar ko yaad rakhna
5) Beteon ko jo na roye qurbaan karke mujhe par Aur sar nahi uthaya ehsaan kar ke mujh par Us jan nisaar meri khawaher ko yaad rakhna Aey momino payame Sarwar ko yaad rakhna Ujra jo aik din me us ghar ko yaad rakhna
|