Aey Hussain aey Shah-e-Karbala Waqt-e-rukhsat qareeb aa gaya (x2) 1) May sawari sajaon teri (x2) Hay behan teri zinda abhi Meray bhaiya koyi ghum na kha 2) Chakiyan pesanay walli maa (x2) Dekh mojud hay wo yahan Day rahi hay pata ik sada 3) Teri rukhsat pay qurban main (x2) Waar don kalb aur jaan main Do ghari pas tu baith ja 4) Kaisay ab usko behlaon main (x2) Kya Sakina ko batlaon main Aap kyun ho rahay hain juda 5) Choor zakhmon say ho is qadar (x2) Phat raha hay behan ka jigar Sar say girnay lagi hay rida 6) Mujh ko maloom hay hoga kya (x2) Bandha jaeya ga bazu mera Jao Zainab ka hafiz Khuda 7) Na zameen par ho na zeen par (x2) Nok-e-naiza par rakha hay sar Aur behan sath hay bayrida 8) Tu nay kitnay sahay hain sitam (x2) Aik dil aur hazaron hain gham Dhop main tera laasha raha 9) Kalb-e-Rizwan-o-Rehan main (x2) Jaisay Alhamd Quran main Gunj aati hay yeh gham ki sada
|