Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali
Tujh jaisa nahi mola (x2) duniya may sakhi koi
1) Teray kabzay may do jahan mola Tu sakhawat ka asmaan mola Arsh waalon ki, farsh waalon ki Tu nay bhardi hay jholiyan mola, (Ya Ali, Ya Ali) Quran may karta hay tareef khuda teri
2) Tera darbaar hay ataa hi ataa Koyi khali kabhi nahin jaata Rizq-e-aulaad sehat-e-imaa Teri chokhat say kya nahi milta, (Ya Ali, Ya Ali) Darbaar tera mola, tasveer hai jannat ki
3) Kaisay ummat phiri thi baad-e-Nabi Haye teray galay main rassi thi Hukm tha yeh Rasool ka warna Sahib-e-zulfiqaar aur qaidi, (Ya Ali, Ya Ali) Gar ghayz tujhe aata duniya hi nahi hoti
4) Apni ankhon say kis tarha dekha Haey pehlu shikasta Zehra ka Intehaa kardi sabr ki tumnay Chup rahay sehtay har sitam mola, (Ya Ali, Ya Ali) Allah ki marzi may shaamil thi teri marzi
5) Subho aayi thi woh qayamat ki Saaray aalam peh sough tha taari Ibn-e-muljim ki tegh say jis dum Aap sajde may ho gaye zakhmi, (Ya Ali, Ya Ali) Deewaro say masjid ki awaaz yeh aati thi.
6) Khoon main tar tha fatah-e-khaybar Aaye Hasnain apnsy ghar lekar Chaar janib thay betiyan baitay Beech main tha imam-e-jinno bashar (Ya Ali, Ya Ali) Zainab peh qayamat yeh ashoor kay jaise thi
7) Zakhm aisa hay ab bhi woh lamha Shaam pohnchi jo itrat-e-Zahra Us ghari dekh kar Najaf ki taraf Jorh kar haath kehti thi Fizza (Ya Ali, Ya Ali) Darbaar may bayparda jaati hai teri beti
8) Chahe barhte rahe ye zulmo sitam Dil me qaim rahe Hussain ka ghum Bus yahi hai dua Takallum ki Sheh ki bichti rahe saf-e-matam (Ya Ali, Ya Ali) Barhti hi rahay mola, har roz azadari
|