Bariyan pehne huay qafla salaar chala haey beemar chala Aarahi hay dar-o-deewar se ronay ki sada, haey beemar chala 1) Haey jalti hay zameen aag ugalti hay zameen Koi saaya bhi nahi (x2) Ablay parr gaye pairon may aur badan tapnay laga, haey beemar chala (x2) 2) Pair kia hathon pe gardan pe paray hain chalay Koi paani dalay (x2) Taptay hay tauq-o-salasil hay bohat garm hawa, haey beemar chala (x2) 3) Kantay chub jatay hain chalay kabhi chil jatay hain Haey dukh patay hain (x2) Pa barehna yeh aziyat ka safar aur yeh jafa, haey beemar chala (x2) 4) Aah kartay hain to durron ki saza patay hain Yun tarap jatay hain (x2) Haey kis haal may hain ibne shahay Karbobala, haey beemar chala (x2) 5) Cheekh uthati hay to zakhmoo se lahu behta hay Har sitam sehta hay (x2) Kis se faryad karay bhai na baba na chacha, haey beemar chala (x2) 6) Tazianay kabhi maray kabhi pathar maaray Haey Sheh ke pyaray (x2) Kis qadar zakhmi musafir pe hui joar o jafa
7) Dekh kar betay ki halat ko tarap uthti hay maa Yeh bhi hota hay guman (x2) Aa na jaye kahin beemar ko rastay may qaza, haey beemar chala (x2) 8) Sar khulay mayain hain behnain hain sitamgaron may Haey bazaron may (x2) Sir jhukaye huay rota hua khuddar chala, haey beemar chala (x2) 9) Haey kis haal mein sibt-e-Payambar safdar Khaak urao gohar (x2) Peet kar seena-o-sir bain karo ahl-e-aza, haey beemar chala (x2)
|