Sar-e-Hussain Sakina ki goud may aaja Yazid aaj mera imtehaan layta hay Khari hai haathon ko pehlo (x2) ghum zada dukhiya Yazid aaj mera imtehaan layta hay 1) Woh haskay kehta hay dekhoon to kaisi ulfat thi Suna hai Shah ko tumse bhari mohabbat thi Tumhare haath mei ab meri (x2) laaj hay baba Yazid aaj mera imtehaan layta hay 2) Hamesha baat Sakina ki aap nay maani Humari baat kabhi aaj tak nahi talli Suboot chahiya zalim (x2) ko is mohabbat ka Yazid aaj mera imtehaan layta hay 3) Kafan say haath nikalay thay meri daadi nay Woh ghaar ki baat thi ulfat kay bhi taqazay thay Magar yahan peh Sakina (x2) hay aur phir ye jafaa Yazid aaj mera imtehaan layta hay 4) Zamin-e-Karbobala par woh karwatain lay gi Yeh sunkay laash-e-alaamdar kaamp uthe gi Khuda karay na sunay woh (x2) baat yeh mera saqqa Yazid aaj mera imtehaan layta hay 5) Dua kartay hain ahlay haram yeh roro kay Khuda Hussain ki beti ko kamyaab karay Nazar jhukaye hay beemar (x2) � e -Karbala mera Yazid aaj mera imtehaan layta hay 6) Mujhe bhi apnay masaib sunaiye baba Jalay howay meray daman main aayiye baba Sitam hai aaj tamashayi (x2) bangayi duniya Yazid aaj mera imtehaan layta hay 7) Mila jo ajre risalat bataungi tumko Galay pay neel rassan kay dikhaungi tumko Musibaton say guzarta (x2) hay bachpana mera Yazid aaj mera imtehaan layta hay 8) Mohabbaton ka takallum yeh moajza dekha Saar-e-Hussain Sakina ki goud main ayaa Na aaye baali Sakina (x2) kay phir labon pay sada Yazid aaj mera imtehaan layta hay
|