Jab Khatima ba khair huwa foje shah ka Kausar pe qaafila gaya pyaasi sipaah ka Ghar lut gaya janaab-e-risaalat panaah ka Khaak urh rahi thi haal tha ye baargaah ka
Haaye maqtal mein aayi Fatima Zehra barehna sar Chillayi zere tegh hay baba mera jigar Ary unnis saw hein zakhm tan-e-Chak chak par Aar Zainab nikal Hussain tarapta hay khaak par Haey pohonchi behan jo bhai ke maqtal mein nawhaghar Dekha sar-e-hussain he neze ki nok par Ary sadqe gayi luta gaye ghar wadagah may Haey junbish labon ko he abhi zikre Ilaah mein Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura (x2) May noke sina par hun Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
1) Nana dekho nawaasa kahaan aagaya (x2) Mayne karbobala ko muallah kiya Khoon mera aaj khaak-e-shifa ban gaya Mayne bachpan ka waada wafa kardiya
Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura (x2) May noke sina par hun Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
2) Mera ghar mere bachhe meri zindagi Aap ke deen pe sab meine qurbaan ki Mere maathe pe woh tha do ab aakhri Bar sare noke neza sawaari chali
Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura (x2) May noke sina par hun Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
3) Deeno Qura(n) bache tera kaaba bacha Ta qayamat rahegi azaan ki sada Madressa bangayi aaj se karbala Haaye nana magar mera ghar na raha
Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura (x2) May noke sina par hun Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
4) Chakkiyan peesne waali maa ki qasam Meri aaghosh mein tora akbar ne dam Kaise laashe jawaan laaya suwe haram Apne wade pe kehta raha gham pe gham
Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura (x2) May noke sina par hun Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
5) Kitne laashe uthaaye hein ik roz mein Kitne aansun bahaaye hein ik roz mein Sainkro(n) teer khaaye hein ik roz mein Saare wade nibhaaye hein ik roz mein
Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura (x2) May noke sina par hun Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
6) Bhai bat-tees barson se jo saath tha Mayne waada nibhaane mein woh khodiya Khaagayi uske shaano(n) ko ye alqama Woh gaya aur darde kamar degaya
Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura (x2) May noke sina par hun Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
7) Mere nana ye dulha ye kamsin jawaan Aise ronda gaya dasht mein al amaan Apne bete ko pehchan paayi na maan Uski dulhan ne khud tordi churiyaan
Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura (x2) May noke sina par hun Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
8) Haan woh Asghar jo Sughra ki thi zindagi Jis ki khaatir woh bimaar bachhi meri Chhote chhote se kurte jo seeti rahi Uska khun apne chehre pe malke abhi
Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura (x2) May noke sina par hun Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
9) Mere nana Sakina ka gham dekhiye Umr itni si itne sitam dekhiye Jalti reti pe uske qadam dekhiye Kitne majboor hein aaj hum dekhiye
Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura (x2) May noke sina par hun Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
10) Shaam Rehan-o-Sarwar jo dhalne lagi Sar se Shabbir ke ye saada aati thi Ay behen ab yahaan se qayaadat teri Mere wade ki khaatir zuroori huwi

|