Allah allah allah (x4)
Allahu kabla kullu shai, allahu bada kullu shai, allahu kabla kullu shai, allahu bada kullu shai
Allah allah allah (x2) Ya zainab-e-kubra (x6)
1) Aey bibi baniye azaa, peghaam karbala tera, jisne suna yahi kaha Ya Zainab-e-Kubra (x4)
2) Tegh khutbo ki barsare darbaar, jaise chalti ho haideri talwaar, kat ke ghirte the zalimo ke jigar, jang-e-khaiber thi ya teri lalkaar Ya Zainab-e-Kubra (x4)
3) Ay bibi baniye azaa, dine rasool bach gaya, quran ki thi ye sadaa Ya Zainab-e-Kubra (x4)
4) Yaad ata hai shaam ka manzar, bibi sarpe tere na thi chadar, har taraf patharo ki baarish thi, teri poshaak thi lahu me tar Ya Zainab-e-Kubra (x4)
5) Ay bibi baniye azaa, sadma tha ye bohot baraa, roya sare shahe hudaa Ya Zainab-e-Kubra (x4)
6) Tune bacho ki di hai qurbani, haye re tera zokh imaani, pyaase bhayi ki yaad me tune, khun bahaya hai ankhe ka paani Ya Zainab-e-Kubra (x4)
7) Ay bibi baniye azaa, ye zabta hosla tera, neze pe ser pukaarta Ya Zainab-e-Kubra (x4)
8) Tere dar par ye istighasa hai, jo bhi farshe aza pe rota hai, us pe saya kare tera ghazi, wo jo mushkil kusha ka beta hai Ya Zainab-e-Kubra (x4)
9) Ay bibi baniye azaa, hum momino ki ye dua, ashke azaa ka waastaa Ya Zainab-e-Kubra (x4)
10) Kitne makrooz matami hai tere, karza tu ghaib se adaa karde, bibi tu to sakhi ki beti hai, tu to muflis ko baadshaah kar de Ya Zainab-e-Kubra (x4)
11) Ay bibi baniye azaa, tu innama tu hal ataa, kehta hai sar jukaa huwa Ya Zainab-e-Kubra (x4)
12) Qaid be jurma jo hai matamdaar, misle mazloom aabide bimaar, unko azaadiyo ko tohfa de, aaj tu misle haidare karrar Ya Zainab-e-Kubra (x4)
13) Ay bibi baniye azaa, hum ko hai tera aasraa, ghairo se mangna hai kya Ya Zainab-e-Kubra (x4)
14) Tere bhayi ne jaise rahib ko, saat bete ataa kiye phirto, tu bhi hamsheer us sakhi ki hai, dede awlaad chahiye jisko Ya Zainab-e-Kubra (x4)
15) Ay bibi baniye azaa, awlaad aisi kar ataa, ho wo bhi matami tera Ya Zainab-e-Kubra (x4)
16) Waasta us aseer bachi ka, rassiyo me bandha tha jiska gala, wo jo pyaasi thi mar gayi pyasi, koyi bacha na ab rahe pyaasa Ya Zainab-e-Kubra (x4)
17) Ay bibi baniye azaa, har sabeel par likha, kehta hai khun bhayi ka Ya Zainab-e-Kubra (x4)
18) Ay bibi baniye azaa, humse na haq adaa huwa, karde muafye khata
Allah allah allah (x8)
|