Zainab kay khulay saar pe Abid ki nazaar hain Roti hain lahoo aakhay (x2) aur tukray jigaar hain 1) Haar simbt charaghan hai aur Shaam main jashan jaari Bay dard dareechon say pathron ki hay tayari Bazaar ki zulmat say (x2) Zainab ka guzaar hain 2) Hy Shaam ki galliyon main Abid nay di sadayain Zehra ki betiyoon ko day di koyi ridayain Is zulm ki nagri main (x2) koyi aisay bashar hain 3) Zainab kay guzarnay ka jab rasta banaye Seenay peh karay matam Sajjad tarap jaaye Beemar ko ghaash aaye (x2) hota na safaar hain 4) Sajjad chaloon kaisay chalna na mujhe aaye Mahool sharabhi main bay parda mujhe laaye Jaati hai jidhaar Zainab (x2) darbaar udhaar hain 5) Gir gir kay sambhalta hay youn koray na barsawo Bayhosh hay sajday main Abid peh reham khawo Shabbir bay kafan ka (x2) maghmun pisaar hain 6) Pucha kisi nay akaar jaab saarbarn say ja kay Tukray how kaleja kin manzalon peh ja kay Abid pukaray logo (x2) woh Shaam shehar hain
|