Abid nay kaha aakay kareeb bintay Ali say Ab suway watan chaliye phuphi-jaan may sadkay Sunkar ye khabar zakh may jigar phaat gaye saaray Markhad seh lipat kaar kiye Zainab nay yeh naalay May jab bhi watan jaaungi bhaiya (x2) Bin teray na ghaar jaaun gi bhaiya 1) Athara baras ka Ali Akbar Bhi yehi hai (x2) Cheh maa ka nanha Ali Asghar bhi yehi hai Hay khaakh basaar Farwa ka dilbar Pamaaal badan Qasim-e-mustaar Kis dil say may ghaar jaaungi bhaiya 2) Kya din tay kay ahbaad tah Zahra ka gulistaan (x2) Yeh kiski nazar khagayi saab hogaya veeran Baaki nayhi ab koyi nigaybaan Saab bhayi meray hogaye bay jaan Maar jaungi maar jaungi bhaiya 3) Abbas say aur tum say hay Zainab ko nidaamat (x2) Zindaan may choor aayi hu dono ki amaanat Kya toot gayi mujh peh qayamat Kis darja hay Zainab ko khijaalat Woh laab pay nayhi laaungi bhaiya 4) Souta hay mera dhoop may nanha Ali Asghar (x2) Kehti hai yeh Banno kay hai waali bhi yehi par Zindaan may ek maar gayi dukhtar Baithegi na ab saaye may maadar Kya karkay may sumjhaungi bhaiya 5) Tayyaar nayhi suway watan jaanay ko Laila (x2) Woh kehti hai may choor du kis tarha say tanha Athara baras ka mera beta Ray jaayega is bun may akela Kaisay usay sumjhaungi bhaiya 6) Ahmad ki khabar sunkay Anees aayengay saaray Yeh neel numaaya hai jo baazu peh rasan kay Ghar pooch liye mujh say kisi nay Batlaungi unko may yeh kaisay Bus sharam say maarjaaungi bhaiya
|