Diye mushkilon may tu nay saharay Hussain ko
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Diye mushkilon main tu nay saharay Hussain ko

Zainab laga lo aaj (x2) kinaaray Hussain ko

1) Inkaar na karo tum bazaar-e-Shaam say (x2)
Baaghi bana rahay hain (x2) tumharay Hussain ko

2) Zainab ki bay ridaye nay ansoo rula diye (x2)
Nok-e-sina sai koye (x2) utaaray Hussain ko

3) Zainab ???? diya ??? bazaaron main safar (x2)
Tarpa rahay hain laug (x2) hamaray Hussain ko

4) Yeh chehra-e-Hussain-e-Ali-o-Batool ka (x2)
Kaisay Shimar tamachay (x2) maaray Hussain ko