Zainab jo Shaam aayi haey lut kay Karbala se Tasveer Fatima ki (x2) mohtaaj thi rida se 1) Main hu Ali ke beti, hai mera naam Zainab Majme mein fasiqon ke, ti inkalaam Zainab Qaidi jo kaar liya hai (x2) bolo toh kuch haya se 2) Jaab khafile pey Shaami, pathar gira rahe teh Katkar jigar ke tukday, aankhoN mein ah rahe teh Dekha gaya na manzar (x2) yeh gaardishe Khuda se 3) Noke seena pay natiq, Quraan ro raha hay Kariyan beemar ki aur, zindaan ro raha hai Baychain thi Sakina (x2) hy khauf ki wajah se 4) Zahra ki betiyon pay, pathar girane walon Tafseer-e-intama ko, qaidi banane walon Socho bacho gai kaise (x2) Zahra ki badua se 5) Hay kaun ab dilaye, chaadar meri Shimar se Neizey se kaise li hai, zalim ney mere saar se Itna toh kehde koi (x2) Abbas-e-baWafa se 6) Ghaar baar Fatima ka, Shaami kala rahe teh Ye dekh kaar farishtein, aasooN baha rahe teh Kya qhoob hai nibhaayi (x2) ummat ne Mustafa se 7) Mushkil bada tha Akhtar, woh imtihaane Zainab Zakhmon sey choor ta saab, hy kaarwane Zainab Roti khadi hai Bibiyan (x2) sehmi howi jafa se
|