Rooti hui darbaar say loat aaye Fatima Nah jaanay kya wahan seh (x2) Dekh aayi Fatima 1) Is baat ka nahin ghaam jageer cheen li Roona to yeh hain tum nay, jhutlayi Fatima 2) Khud hi bata musalmaan teray situm kay baad Duniya main kitnay din hai, jee paayi Fatima 3) Mohsin ko bhool jana insaniyaat nahin Pehchano Muhaamed ki hain, jayee Fatima 4) Ro ro kay keh rahi hain yeh kabray Rasool paar Teray baad dusray nay hai, satayee Fatima 5) Zainab yeh keh rahi hai teri riddah ki khai Manzaar bazaar-e-shaam ka, dekh aayi Fatima 6) Tauqeer kya likhun main kaisay bayaan karoon Ummat nay kaisay kaisay hain, rulayi Fatima
|